Sep 25, 2018

Jaaga (Hindi)

I

Hum hain dharti ke vaasi
Dhar humaari maa se pyaari,
Jal vaayu bhu aur agni
Pashu panchi per apni...

Jis fiza ne humein banaya
Uski ki gun mein dhun ye gaana,
Pran o pranay se ghar basana
Ek dujhe se gale laga na...

Jaaga har ek ki chitta..
Nishtha satta, vishwa satya

Jaaga har ek ki chitta..
Nishtha satta, vishwa satya

Jaaga vishwas hamaara
Jaaga vishwas hamaara
Jaaga vishwas hamaara...


II

Gagan shunya neer punya
Agni dharani Meri karani,
Ekta mein Prerna hai
Karam apna prem hai...

Gagan shunya neer punya
Agni dharani Meri karani,
Ekta mein Prerna hai
Karam apna prem hai...

Jaaga vishwas hamaara
Jaaga vishwas...

Jaaga vishwas hamaara
Jaaga vishwas...

No comments:

Post a Comment