Jan 17, 2022

Anand ki Parchi (Hindi)

Jaan gaye hain sab kuch magar,
Thherao na paaya abhi tak…
Sirf prem se kabhi na duniya chale,
Baccha bhi jaane sadak sadak...

Idhar chalu mein udhar chalu,
Idhar udhar aur kidhar chalu?
Haath mein sutta aur dil me dhuan,
Yeh moh maya hain kund ya kuan?
Jahan roshni kabhi aaye bhi na aaye,
Andhere ke god mein sadaa jakrre huye;
Udhar bhi yeh dhuan chhore na saath,
Hain kuch maya ke tukre bikhhre huye...

Sochu sochu mein sochta rahoon,
Raat dhal jaaye mein bolta rahoon;
Socho socho, tum bhi sochte raho,
Praan tak chali jaye, kuchh na kaho!
Kuchh na kaho, kuchh na kaho!

Baithey raho dhuen mein dhund
Yeh kaisa kabhi kaunsa anand?
Kya dekha hain sacchi?
Aankhon se apni? Anand ki parchi?

No comments:

Post a Comment